Saturday, September 13, 2014

ARABIC GRAMMER LESSON 3

LESSON 3

 kal ye padha ke kisi bhi ism ke baare me 4 baato ka jaanna zaruri hai
Jis me se ek hai airabi haalat yaani ham ko agar arabi zabaan ka ism ki category ka koi bhi lafz ham ko arabi zabab me samajhna hai to sab se pehle ham ko ye jaanna padega ke uski airabi haalat kya hai
Yaani jis tarah English me case hote hai
Nominative case
Objective case
Possessive case
Usi tarah arabi me bhi case hote hai aur ham ko ye jaanna zaruri hai

 Aur isi ki airabi haalat kaha jaata hai.

Jis tarah English me kisi bhi word ki 3 hi haalat hoti hain isi tarah Arabic me bhi koi bhi ism 3 hi haalato me hoga chothi koi haalat nahi hogi

In 3 haalato ko arabi me kya kehte hain??

1 HAALAT E RAFAA حالت رفع

2 Haalat e NASAB
 حالت نصب

3 Haalat e JAR
 حالت جر

To is tarah English GRAMMER ki madad se ham Arabic grammar aasani se samajh sekte hai sirf name ka fark hai


Pichhle sabak me ham ne ek Example dekha tha 

HAMID NE MAHMOOD KO MARA

Ab agar koi aap se puchhe is jumle me فاعل  yani kaam karne wala (maarne wala) kon hai aur  مفعول  yaani jis par work huwa hai wo (maar khane wala) kon hai to har urdu jaanne wala bata dega ke Hamid  فاعل hai Aur Mahmood مفعول hai 

Aur ye is liye ke ham is jumle ko samajh rahe hai.
Lekin agar koi urdu nahi jaanta aur wo GRAMMER ki madad se urdu sikhna chahta hai to uske liye zaruri hoga ke wo pehle jumle me ism ki haalat pehchaane uske baad hi wo jumle ko samajh sakega 
Aur is ke liye hame use koi nishani batani hogi jis se wo ism ki haalat ko pehchhan sake 
To Ab ham pichhli misaal me gaur karte hai to ham ko maalum huwa ke urdu me aam taur par فاعل. Ke saath NE  aur مفعول ke sath KO lafz istemal hota hai
Ab is nishani ke zariye har koi bata sakega ke kon فاعل he  Aur kon مفعول hai


.


Ab sawaal ye hai ke Arabi zabaan me istemal huwe ism ki haalat ko pehchaanne ki ALAAMAT (nishani) kya hai ???


To uske liye sab se pehle ye baat zahan me bithaa lo k ye nishaniya ek se zyada hain

Lekin ham is waqt yaha ek hi nishani sikhenge

Fir aage ke lessons me dusri nishaaniya jab aayengi baatate chalenge.

.Ab dekhiye 
Pichhle sabak me ham ne ye padha ke Arabic word 3 kism ke hote hai 

ISM اسم
Fail فعل
Harf حرف

To ab jaan lo ke Arabic me ism ki category ke 85% ism aise hain jinki tino Airaabi haalat me 3 alag alag shakal hoti hai.

Yaani haalat e Rafa me alag shakal hogi 
Haalat e Nasab me alag shakal hogi
Aur Haalat e jar me alag shakal hogi

To ab hamare liye pehchaanna aasan ho jaayega

Ab nishaani ye hai ke 
Ye 85% ism haalat e RAFAA me in ke aakhir me do PAISH ( ٌ ) honge
Haalat e Nasab me do zabar  ( ً  ) honge

Aur haalat e Jar me do zair ( ٍ  ) honge.

Jaise hamne Lafz e MUHAMMAD محمد padha.

Kalime me do paish 
Azaan me do zabar
Aur durood me do zair hain.

Ab me aap se puchhu ke kalime me  lafz Muhammad konsi haalat me hai.
Azaan me konsi haaalat me hai ?
Aur durood me konsi haalat me hai ???

To kya aap bata sakte hain. ???

Mere khayal se aap bata sakte hain


.

2 comments:

  1. Ye link check karo http://zaruriarabi.github.io/

    ReplyDelete
  2. Casino Games: A Guide to Playing at Slots
    Slots. When playing a 룰렛 배팅 slot machine, you are not sure whether 넷마블바카라시세 you can use the game 벳 3 of the casino game. You can make 트위치룰렛 some 위닉스 사이트 money by playing your favorite casino games on

    ReplyDelete