Thursday, September 11, 2014

ARABIC GRAMMER LESSON 2

LESSON 2


Arabi zaban me istemal (use) hone wale kisi bhi ism اسم ke baare me chaar bato ka jaanna zaruri hai. Uske bagair na to wo ism samajh me aa sakta hai aur na hi us ism ko jumle me istemal kar sakte hain

Ism اسم ke baare me wo char baate ye hain
1 --- wus'at وسعت (capacity)
2 --- Jins جنس (gander)
3 --- Adad عدد (number)
4 --- Ism ka airab اعراب yani jumle aur tarkib me uska maqam (status)

Upar ki Charo chizo mese Kyuke pehli 3 chize har zaban language me hoti hai chothi chiz new hai is liye ham sabse pehle usi ko sikhenge.

Airabi halat اعرابي حالت  kya chiz hai ???

Urdu me ham kehte hai LADKIYA  khel rahi thi. LADKIYO ko chot aayi.,
Aur ENGLISH  me ham kehte hai I TOLD HIM AND HE TOLD ME

Ab yaha dekho urdu me ham kabhi LADKIYA istemal karte hain aur kabhi LADKIYO
isi tarah English me I, kabhi ME se badal jata aur HE kabhi HIM se badal jata hai. Ye is liye hota hai ke ism ki halat badal jaati hai.
Ism kabhi faail فاعل (karnewala) hota hai kabhi maf'ool مفعول (jis par kaam huwa ho) hota hai, kabhi ACTIVE hota hai kabhi PASSIVE hota hai,

Urdu aur English ki tarah ARABI me bhi ISM  ki alag alag halate hoti hai.

Arabi me ism ki tin 3 halate hoti hai
Almuslimoona المسلمون kabhi almuslimeena المسلمين me badal jata hai. To KITABUN كتابٌ kabhi KITABAN كتاباً me badal jata hai to kabhi KITABIN كتابٍ me badal jata hai.
Is tabdili ko ISM اسم ki AIRABI HALAT
 اعرابي حالت
Kehte hainhai


Airab ko achchhe tarike se samjhane ke liye kuchh misale EXAMPLE diye jaate hai.
1-- HAMID NE MAHMOOD KO MARA
2--MAHMOOD NE HAMID KO MARA.
3-- MAHMOOD NE HAMID KE BHAI KO MARA

HAMID BEAT MAHMOOD
MAHMOOD BEAT HAMID

Urdu ki dono misalo me HAMID aur mahdood Dono hai. Lekin Dono ka status alag alag hai.
Aur urdu me ham Aasani se pehchan lete hai ke kon Marne wala hai aur kisko MARA jaa raha hai.
Pehle jumle me HAMID فاعل hai. Mahmood مفعول hai.
Dusre jumle me mahmood فاعل hai aur HAMID مفعول hai.

Ab Dono misale ko samne rakhte huwe kuchh aur explanation ki jaa rahi hai.

Hamid ne mahmood ko mara.
Mahmood ko hamid ne mara.
 To dekho in Dono jumlo ke meaning me koi fark hai kya ??
Nahi halanke Dono me hamid aur mahmood ki jagah badal gai hai.

Kya English me bhi ham itni Aasani se jagah badal sakte hai.

HAMID BEAT MAHMOOD
MAHMOOD BEAT HAMID

Nahi
English me jagah badalne se meaning me tabdili aa jaati hai.

To maloom hua ke English me tartib aham hai
Urdu me tartib aham nahi hai. Urdu me kuchh nishaniya hain jis se ham pehchan lete hain ke kon فاعل hai aur kon مفعول
Aur wo ye hain ke Urdu me aam tor par فاعل ke sath lafz NE laga huwa hota hai aur maf'ool مفعول ke sath aam tor par lafz KO laga huwa hota haihai
Dono jumlo me hamid ka meaning hamid hi hai aur mahmood ka meaning mahmood hi hai.
Ha Dono me HALAT badal gai hai..
To ab Airab ki definition ye hogi ke meaning me tabdili ke bagair ISM ki HALAT ka badal Jana AIRAB ki tabdili kehlati hai
Ab ye Dono jumle arabi me likhe jaate hai
HAMID ne mahmood ko mara
ضَرَبَ حَامِدٌ مَحْمُوْداً
ضَرَبَ مَحْمَُوْدٌ حَامِدًا




ٌ
Ab arabi ke in Dono jumlo ke andar ham dekh sakte hai ke HAMID jab faail فاعل ke tor par istemal huwa to hamne do paish ٌ  diye aur jab maf'ool مفعول ke taur par istemal huwa to hamne do zabar ً  diye


Isi tarah mahmood jab faail فاعل ke tor par istemal huwa to hamne do paish ٌ  diye aur jab maf'ool مفعول ke taur par istemal huwa to hamne do zabar ً  diye.


Ham kalima padhte hain
LAA ILAAHA ILLALLAHU MUHAMMDUR RASOOLULLAH
Is me ham lafz Muhammad ko ٌ مُحَمَّد padhte hai.
Ham azan dete hai ash'hadu Anna Muhammadan مُحَمَّدًا
Aur durud Sharif padhte hai
Alaa Muhammadin مُحَمَّدٍ
To yaha tino jagah me ism Muhammad aap dekh rahe hain ke tin alag alag shaklo me istemal huawa lekin shayad hamne kabhi gaur nahi kiya.

Ab tino jagah par ism Muhammad ke mana (meaning) Muhammad hi hain. To ism ke meaning ki tabdili ke bagair ism ki HALAT ya shakal ja badal Jana airab kehlata hai.

Yaha ye baat dhyan me rahe ke ZABAR, ZAIR, PAISH airab nahi hai.

No comments:

Post a Comment