Wednesday, September 10, 2014

TAMHEED 2



Tamheed 2


 Is duniya me ALLAH se mangne wali asal chiz HIDAYAT hai.

Mera Rab mujhse kis tarah razi hoga. Kin kaamo se wo naraz ho jata hai ?? Main duniya ki zindagi kaise basar karu ?? Aakhirat me kamiyabi kaise hasil hogi ?? Sidha rasta konsa hai ?? 
Mujhe rahnumaayi chahiye ?? 
In sawalo ka jawab Quran deta hai ke yaqeenan Allah  ki rahnumaayi hi haqiqi rahnumaayi hai aur be shak ye Qur'an batlata hai wo raah jo bilkul sidhi hai.

Quran ki zaban arabi hai
Hamare RASOOL ki zaban arabi hai.

Huzur ne farmaya tum me behtar wo hai jo Qur'an sikhe aur sikhaye. 
Huzur ne ye bhi farmaya ke QUR'AN PADHA KARO KYU KE YE QIYAMAT KE ROZ APNE PADHNE WALE KA SIFARISHI BAN KAR AAYEGA.

fir ham ko ye behtareeen duwa bhi sikha dee AI ALLAH HAM PAR IS QUR'AN KE ZARIYE RAHAM FARMAA AUR ISE HAMARE HAQ ME DALEEL BANA.

Qur'an aur aap sallallahu alaihi wa sallam ke farameen ko samajhne ke liye Arabi ZABAN sikhna bahut hi zaruri hai kisi bhi zaban ka Tarjama uska badal nahi ho sakta.


 Arabi zaban ko Qur'an majeed ki zaban hone ka sharf hasil hai

Aur Qur'an majeed ke baare surah QAMAR me ek aayat baar baar aati hai WA LAQAD YASSARNAL QUR'ANA LIZZIKRI FA HAL MIM MUDDAKKIR (AUR HAMNE QUR'AN KO NASEEHAT KE LIYE BAHUT HI AASAN BANA DIYA HAI TO HAI KOI (USKE ZARIYE) NASEEHAT HASIL KARNE WALA) 

Aur dosto Qur'an aasan usi waqt ho sakta hai jab uski zaban bhi asan ho
Aur mene use yaqeenan bahut hi asan paya 

Aap bhi paaoge



: Allah ka bahut hi shukr hai ke usne is bande ko apne kalaam aur apne mahboob sallalahu alaihi wa sallam ki zaban sikhne ki taufeeq di

Itni badi nemat ka shukr kaise adaa karu ???
Yahi baat samajh me aayi ke jo kuchh Allah ne mujhe ataa farmaya use aage pahunchana shuru karu, jis kalaam ne meri zindagi badal kar rakh di ho hi nahi sakta ke wo dusro ki zindagiyaa tabdeel na kare.

Allah ne himmat di aur Arabi grammar padhana shuru kiya 
Aur Allah hi se duwa hai ke wo is koshish ko kamiyaab kare


Aameen

No comments:

Post a Comment