Thursday, September 11, 2014

ARABIC GRAMMER LESSON 1

LESSON 1

arabi zaban me buniyadi haisiyat huruf ko hasil hai

Arabi me in ko huruful hija ﺣﺮوف اﻟﻬﺠﺎء aur Urdu me hurufe tahajji aur English me alphabet s kaha jata hai

ا ب ت ث ج ح خ د ذ ر ز س ش ص ض ط ظ ع غ ف  ك ق ل م ن و ه ء ى
Arabi zaban me dusri aham chiz harkaat hain ﺣﺮﻛﺎت Zabar ko arabi me fatha, ﻓﺘﺤﻪ nasab, ﻧﺼﺐ

zair ko kasra ﻛﺴﺮه , jar ﺟﺮ aur

pesh ko rafaa رﻓﻊ , zammah ﺿﻤّﻪ kehte hain

Har ek ke do do name hain

Jis harf par zabar ho use maftooh ﻣﻔﺘﻮح mansoob ﻣﻨﺼﻮب kaha jata hai

Jis harf par zair ho use maksoor ﻣﻜﺴﻮر majroor ﻣﺠﺮور kehte hain

Jis harf par pesh ho use mazmoom ﻣﻀﻤﻮم marfoo ﻣﺮﻓﻮع kehte hain

Double harkat ko tanween ﺗﻨﻮﻳﻦ kehte hain

Huruful hija ( alphabets) ki tadaad 28 ﺗﻌﺪاد ya 29 hai

Is fark ki wajah alif aur hamza hai Jo log alif aur hamza ko ek hi shumar karte hai unke nazdik 28 hai aur jo Dono ko alag alag shumar karte hain unke nazdik 29

Alif aur hamza ka fark

Alif hamesha khali hota hai, jab alif par tino hakaat mese koi aa jae ya jazam ﺟﺰم aa jaaega to wo hamza kehlata hai

Allah se duwa karo

 رب يسر و لا تعسر و تمم بالخير

Rabbi yassir wa laa tu'assir wa tammim bilkhair

Ai allah aasan farma aur mushkil na kar aur bhalaee ke sath pura farmaa

Huruful aur hakaat

Huruf aur hakaat mil kar alfaaz bante hain.

Alfaaz baa maani ( meaning full) bhi hote hain aur be maani bhi hote hain jaise ham Urdu me bolte hai pani wani lao To pani meaning full word huwa aur wani ka koi meaning nahi hai Isi tarah arabi me bhi hota hai Ham ko sirf meaning full alfaaz se kaam hai Ham usi ke baare me Baat karenge.

Jab bhi kisi zaban (language) ke qawaaid ﻗﻮاﻋﺪ banae jaate hain to to us zaban me istemal hone wale sabhi alfaz ki grouping kar li jaati hai

Jaise English me is grouping ki ﺗﻌﺪاد aath hai 8 hai Jise ham part of speech ke name se jaante hai

Yaani English sikhne ke liye in tamam part ko jaanaa zaruri hai

To ab Urdu aur arabi me bhi hame part if speech jaanne padenge aur arabi aur Urdu me part of speech 3 hai

Upar ham ne dekha ke meaning full alfaaz ka hame kaam hai to arabi me meaning full lafz (word) ko kalima ( ﻛﻠﻤﻪ ) kaha jata hai.

Kalima ki 3 kisme hain 1 ism اﺳﻢ . (Noun) 2 fail ﻓﻌﻞ (verb) 3 harf ﺣﺮف (PARTICLE)

Yani ham yu keh sakte hain ke arabi me kalima ki 3 kisme hai (yani meaning full alfaaz ki grouping 3 se ki gai hai )

ab hame agar arabi sikhna hai to hame in 3 kismo ko jaanna padega us ke bagair ham arabi nahi Sikh sakte

Kalima ki 3 kisme hain 1 ism اﺳﻢ . (Noun) 2 fail ﻓﻌﻞ (verb) 3 harf ﺣﺮف (PARTICLE)

Ism اﺳﻢ aisa kalima (word) hai jo kisi shakhs, chiz, jagah, kaam, ka name ya sifat zahir kare

Jaise HAMID, KITAB, MAKKAH, ACHCHHA, KHUBSURAT

Fail aisa kalima (word) hai jis se kisi kaam ka karna ya hona zahir ho, aur usme koi zamana bhi paya jaaega Jaise Hamid ne maara To is me maara ek word hai jisse se Marne ka kaam pata chal raha hai lekin sath sath ye bhi pata chal raha hai k kab Mara hai Past me maar chuka hai Isi tarah Marta hai maarega bhi fail kehlaaega

Harf aisa kalima hai jis ke mana (meaning) wazeh na ho (samajhme na aate ho) jab tak wo kisi ism yaa fail ke sath mil kar naa aae.

Jaise Urdu me ham kehte hain ke DARAKHT PAR, to is me PAR ek word hai agar use tanha 100 baar bhi bole to kuchh samaz me nahi aaega lekin jab uske sath DARAKHT laga diya to matlab samajhme aa gaya

Ab ham in tino ko alag alag sikhenge

Sab se pehle ham ISM اﺳﻢ (NOUN). sikhenge.

Uske baad FAIL ﻓﻌﻞ (Verb)

Aur harf ﺣﺮف (PARTCLE) Kyuke tanha samajhme aata hi nahi is wajah se ham ism aur fail Dono ke sath HARF bhi sikhte chale jaaenge

7 comments: