Wednesday, September 10, 2014

TAMHEED 1

TAMHEED 1

السلام عليكم ورحمةالله و بركاته

Dosto dunya ki kisi bhi zaban ko sikhne ke do hi tarike ho sakte hai
1 ye ke us zaban ko bolne walo me bachpan hi se reh kar ya baad me reh kar sikhi jaaye
 2 ye ke kisi sikhi huyi zaban ke zariye us zabam ke qaayde Sikh samajh kar sikhi jaaye
Ham isi dusre tariqe se arabi sikhenge yani hamari sikhi huyi zanan URDU aur GUJARATI ke zariye 
 Lekin dusre tariqe yaani GRAMMER ke zariye zaban sikhne ke liye do kaam bahut hi zaruri hain
 Ek ye ke jo zaban ham Sikh rahe hain us ke zyada se zyada alfaaz ka zakhira ham apne zahan me mahfooz karain
Yani word meanings yad karain uske bagair ham zaban naa bol sakte hain naa hi samajh sakte hain
 Dusra kaam ye ke un alfaaz ka sahi istemaal ham sikhe
 Dusre kaam ke liye us zabaan ke qayde aur GRAMMER taayar kiya jata hai jis se ham alfaaz ko sahi istemaal me laa sakain
 Pehle kaam ke liye ham har lesson me Kuchh alfaaz aur uske meaning yaha bataayenge taake ham unko yaad kar lain

Lekin ye kaafi nahi is liye ham rozana ek ruku Qur'an ka padhain tarjame ke saath aur us ke word ke meaning jaanne ki koshish karain
 Yaha aap ko ye baat bata du ke 
Pehle zabaan (languages) wujood me aati hai aur fir zarurat padne par us ka GRAMMER wojood me aata hai
Aisa nahi hota ke pehle GRAMMER tayyar hota ho aur fir zabaan wujood me aati ho
 Aur isi wajah se kisi bhi zaban (language) ke qawaaid us puri zabaan ke har lafz ko shamil nahi hote.
Us me se Kuchh na Kuchh apwaad zarur hota hai

Lihaza arabi ka bhi jab ham koi bhi qaayda padhenge to us me se apwaad aap apne zahan me zarur bithaa lain 
Warnaa aap pareshaan ho jaayenge ke ham ne to ye qaayda padha hai aur yaha to aisa hai

No comments:

Post a Comment